Not many people would know Sampooran Singh Kalra, but if you mention the name Gulzar, you will bring a smile to a lot of faces. “Gulzar” is well recognized in Hindi as well as Urdu Literature. Having a career of more than six decades, Gulzar Saab has penned down some memorable lyrics for songs and poems featured in Bollywood films.
His poems, quotes, and shayaris have been appreciated by audiences of all ages for many decades. This love for his collection has made him one of the most renowned and famous writers of India. In fact, he is one of the few artists from India who won an Oscar for his song Jai Ho from the movie Slum Dog Millionaire.
Gulzar’s lyrics have added a magical touch to Bollywood movies and songs for nearly six decades now. He has collaborated with filmmakers, music directors, and actors of multiple generations ever since he started working as a songwriter in 1963.
Apart from being an excellent lyricist penning down some of the most memorable songs, Gulzar is also a fantastic dialogue writer.
His beautiful creations have won him many awards like the Padma Bhushan, Dadasaheb Phalke Award, and Grammy Award. Gulzar’s poetry never fails to impress as he uses words that make it more insightful.
Here we have collected some of Gulzar’s most intriguing and realistic poetry lines as well as Gulzar Quotes that would make you fall in love with the words.
Know more about Gulzar.
Gulzar Quotes To Express Your Love
1. Chakh kar dekhi hai kabhi tanhai tumne
Maine dekhi hai badi imaandaar lagti hai
2. Panaah mil jaye rooh ko jiska haath chhoo kar
Usi hatheli par ghar bana lo
3. Chaandi ugne lagi hai baalo mein
Umr tum par haseen lagti hai
4. Rishte bas rishte hote hain
Kuchh ek pal ke
Kuchh do pal ke
5. Chandan ke badan mein khushaboo hai
Lekin chandan par phool nahin aate
6. Zindagi sasti hai sahib
Jeene ke tarike mahange hain
7. Jaane kab gum hua kahaa khoya
Ek aansoo chhupa ke rakha tha
8. Mitti hai yah mitti
Mitti ko mitti mein dafnate huye
Rote ho kyon?
9. Jaayka alag hai mere lafzo ka
Koi samajh nahi paata
Koi bhula nahi paata
10. Sirf ehasaas hai yah ruh se mahasoos karo
Pyaar ko pyaar hi rahne do koi naam na do
11. Zulf mein phansi hui khol denge baaliyaan.
Kaan khinch jaaye agar, Kha lein meethi gaaliyan.
12, Tere jaane se toh kucch badla nahin.
Raat bhi aayi thi aur chand bhi tha.
Haan magar…neend nahin.
13. Aane wala pal jane wala hai.
Ho sake toh isme, Zindagi bita do,
Pal jo yeh jaane wala hai.
14. Bahut andar tak jala deti hain
Vah shikayte jo bayaan nahin hoti
15. Hichkiyo mein wafa dhoondh raha tha kambakht
Gum ho gai do ghoont paani se
16. Kya pata kab kahaa maaregi
Bas ki main Zindagi se darta hoon
Maut ka kya hai ek baar maaregi
17. Shor ki to umr hoti hai
Khaamoshi sadaabahaar hai
18. Dil mein kuch jalta hai, Shayad dhuan dhuan sa lagta hai.
Aankh mein kuch Chubhta hai, Shayad sapna koi sulagta hai.
19. Aaina dekh kar Tasalli hui,
Hamko is ghar mein jaanta hai koi.
20. Jab tak raaste samajh me aate hain
Tab tak lautne ka waqt ho jaata hai
Yahi zindagi hai
21. Milta toh bahut kucch hai Iss Zindagi Mein.
Bas hum Ginti usi ki karte hain, Jo haasil na ho saka.
22. Etihaatan bujha sa rahta hoon
Jalta rahta to khaak ho jaata
23. Dawaa gar kaam na aaye to najar bhi utaarti hai
Ye maa hai saahab haar kahaa maanti hai
24. Dil se faisla karo tumhe kya karna hai
Dimaag tarkeeb nikaal lega
25. Abhi shaam nahi hoti
Bas din dhalta hai
Shayad waqt simat rha hai
26. Jine ke liye socha hi nahi
Dard sambhaalne honge
27. Thoda sukoon bhi dhoondhiye janaab
Yah jaruratein to kabhi khatm nahi hoti
28. Pital ki baaliyo me beti byaah di
Baap majdoor tha sone ki khaan me
29. Ek parwaah hi bataati hai ki khyaal kitna hai
Warna koi tarajoo nahi hota rishto me
30. Kab aa rahe ho mulaakaat ke liye
Maine chaand roka hai ek raat ke liye
31. Tujh ko behtar banaane ki koshish me
Tujhe hi wakt nahi de paa rahe ham
Maaf karna e zindagi
Tujhe hi nahi jee pa rahe ham
32. Tumhe yah zid thi ki ham bulaate
Hame yah ummeed wo pukaare
33. Pareshaan hai is baat par vah
Ki unhen koi samajh nahi paaya
Zara soch kar dekho
Tumne kitano ko samajh liya
34. Aisi uljhi nazar unse hatt ti nahi,
Daant se reshmi dor katt ti nahi.
Umra kab ki baras ke safaid ho gayi;
Kaari badari jawani ki chattti nahi.
35. Main uske roop ka shehdaai,
Vo dhoop chhanv se harjaai,
Vo shokh hai rang badalta hai,
Main rangroop ka saudaai.
36. Dil hain to phir dard hoga,
Dard hai toh dil bhi hoga,
Mausam guzarte rehte hain.
37. Waqt rehta nahi kahin tik kar,
Aadat iss ki bhi aadmi si hain.
38. Bahut mushkil se karta hoon,
Teri Yaadon ka Karobaar.
Munafa kam hai, Par Guzara ho hi jaata hai.
39. Naraaz humse khusiyaan hi hoti hai,
Gamaon ke itne Nakhre nahi hote.
40. Lagta hai Zindagi Kucch Khafa Hai.
Chaliye Chhodiye, Kaunsi Pehli Dafa Hai.
41. Socha na tha zindagi aise.
Phir se milegi, jeene ke liye.
Aankhon ko pyaas lagegi,
Apne hi aansu peene ke liye.
42. Choom leta hoon har mushkilon ko main apna maan kar
Zindagi kaisi bhi hai aakhir hai to meri
43. Hasarat poori na ho to na sahi
Khwaahish karna koi gunaah to nahin
44. Tham ke rah jaati hai zindagi
Jab jamake barasti hain puraani yaade
Mujhe aise marana hai jaise likhte likhte
Syaahi khatm ho jaye
45. Tere shahar tak pahunch to jaata
Raaste mein dariya padte hain
Pul sab tune jla diye the